Monday, May 16, 2016

[Expand ram working method]. Apne phone ka ram kaise badae . swap kaise kare

Android phone hang hona aam baat hai. sawal hai hang hone se kaise roke.



Isliye aaj mai ye post kar raha hu. Is post mai batunga ram kaise badai jati hai.

Ram expand karne ke liye apka phone rooted hona jaruri hai .

Agar apka phone rooted nhi hai to jane phone ko root kaise karte hai.

[ Note: stock rom diye gaye ram ke mutabik design hota hai. Isliye agar hum swap kar bhi de to ye uska istemal nhi karta. Isliye custom rom flash kare.]

Steps to swap ( ram expand)


Swap karne keliye ye app download karle.


Install karke open kare aur root access allow kare.



Fir 3dot option dabaye fir swap per tap kare.



Jitna mb  ram badana hai utna swap size mai  fill kare

/storage/sdcard0/ try kare agar kam nhi kar raha hai to /data/ select kare.

[Note: /data/ select karne se pehle check karle ki data storage kitna khali hai . root explorer ka use kare. Uske mutabik swap size chune.]

Fir "create swap file" per tap kare.




Swap file banne mai thoda time lagega wait kare.

Fir "activate swap" per tap kare.

Ab apka phone ka ram bad chuka.

Ye ram visible nhi hoga per kaam jarur karega.


Thanx

No comments:

Post a Comment




Copyright © 2016. HindiHelp
About Us.|Privacy Policy|Contact Us
Design by Praveen