Wednesday, May 11, 2016

Android phone ki battery life badhane ke tarike. [ for rooted and non rooted both users]

Improve battery life of your phone in 3 steps.



Smart phone ki sabse badi dikkat hai uski battery. Hamesha charging pe lagake rakhna padta hai.

Android ki battery life badane ke kuch tricks me aaj share kar raha hu.

1.) Wifi ka automatic scan band kare -


jab aap wifi ka istemal nhi bhi kar rahe hote tab bhi apka phone wifi scan karta karta rehta hai. Jisse battery khatm hoti rehti hai.

• Wifi automatic scan band karne ke liye "setting" me jaye aur "wifi" par tap kare.



fir "option button" dabaye aur "advance setting" pe tap kare.



fir samne apko "scanning always available" dikhega usko "untick" karde.

 



Fir automatic scan band ho jayega.


2).  "Art" runtime ka use kare -


agar aap bhi meri trah android kitkat ka use karte hai to art runtime ka use kare. ye apps ko recompile karke battery bachata hai.

Art ka use kaise kare.

• "setting" me sabse last me "about phone" par tap kare.



fir last me "build number" par 6- 7 bar tap kare. Fir aisa kuch likha ayega "you are now a developer" .



abb back kare fir apko setting me "devloper option" milega uspar tap kare.



• "select runtime" per tap kare " use art" select karke "ok" karde.



Fir apka phone apne aap reboot hojayega.

#Lollipop me ye by default on rehta hai.

3). Auto start apps ko band kare.


Auto start apps ko band karne ke liye apka phone rooted hona jaruri hai. Jane " Phone ko root kaise karte hai. ".



Agar aap apne phone ko root nhi karna chahte to koi baat nhi. Bina root ke bhi auto start band kiya ja sakta hai.

Non rooted phone me auto starts apps kaise band kare -


• " setting" me jaye "security" par tap kare.



ab niche scrol kare aur "Auto- start management" par tap kare.



ab jitne bhi apps dikhe sabko "untick" karde.



Abb auto start apps band ho chuke hai.


Ye 3 steps se apke phone ki battery life 30% tak bad jayegi.




Shukriya dosto. Visit again.

No comments:

Post a Comment




Copyright © 2016. HindiHelp
About Us.|Privacy Policy|Contact Us
Design by Praveen